yaad teri jo kabhi aati hai bahlane ko aur diwana bana jati hai diwane ko hum bataenge tumhein shana-o-gesu ke rumuz khatm kar lo haram-o-dair ke afsane ko us ko mahfil mein jo dekha tapish-e-gham ka sharik le liya shama ne aaghosh mein parwane ko baada-kash waiz-e-kaj-fahm se kya bahs karen us ne dekha hai bahut dur se maikhane ko jab na ehsan rahega na kahani us ki aap dohraenge 'ehsan' ke afsane ko