dhundhti hain ajnabi parchhaiyan khidkiyon se jhankti tanhaiyan chun rahi hai kunj-e-bistar se nazar itr mein lipti hui angdaiyan ek taraf sara adab aur ek taraf dewmalai si kuchh ruswaiyan dasht-e-jaan mein is qadar mitti udi bhar gain aankhon ki gahri khaiyan raat nikla tha sadak par ghumne nangi bhuki thin kai sachchaiyan