dhundlahaTon mein gum the jo manzar chamak gae

dhundlahaton mein gum the jo manzar chamak gae
meri nazar se kitne hi parde sarak gae

is saya-e-badan mein thahar jaen ab to hum
be-nam manzilon ke tajassus mein thak gae

ye kis ke gham ki aanch se pighla hai sang-e-dil
aankhon se meri aaj phir aansu tapak gae

khud ko talash kar ki hain tujh mein haqiqaten
un ki taraf na dekh jo su-e-falak gae

kanton ki fasl hai meri rahon ka pairahan
wo raste kidhar hain jo phulon se dhak gae

ujde badan sanwar na sake yun to dosto
baghon mein rut jawan hui phal bhi pak gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close