dhundne walon ko bhi kya na mila jhut kahte ho tum khuda na mila ek faqat tera aasra tha mujhe ek faqat tera aasra na mila shash-jihat mein ye hum ne dekha hai koi bhi aap ke siwa na mila jis mein hum khud ko dekh sakte kabhi koi bhi aisa aaina na mila sarguzisht hum ne kah to di lekin koi bhi dard-ashna na mila muflisi meri dekh kar hi 'zohaib' aaj mujh se wo dilruba na mila