ghaTiya lahje mein bazari baat karen

ghatiya lahje mein bazari baat karen
shair bhi ab kab meyari baat karen

aate jate log musalsal takte hain
raste mein hum kaise sari baat karen

daftar ke kaamon ko daftar tak rakkhen
ghar mein baith ke kyon sarkari baat karen

shab bhar wo aur us ki ek saheli bhi
donon mujh se bari bari baat karen

chand ke jaisa raushan raushan hum sochen
aur phulon ke jaisi pyari baat karen

ab wahshat ke hath pe bai'at kar ke hum
ek duje se khul kar sari baat karen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close