dhundte ho dil-e-figar mein kya ho bhi sakta hai is mazar mein kya lafz karte hain raqs chaaron taraf likhta rahta hun main khumar mein kya martabe rifaten maqam aur nam aur hota hai inkisar mein kya chand sanson ki mohlaton ke ewaz us ne bakhsha hai intizar mein kya kis ki khushbu mujhe bulati hai koi mahka mere madar mein kya jin ki mitti khizan se utthi ho mil sakega unhen bahaar mein kya chidh hai kyon ittihad se tum ko dost barakat hai intishaar mein kya dachi wale chale gae kab ke sar khapaoge ab ghubar mein kya sath le kar nahin gaya kuchh main dhundte ho mere mazar mein kya raat dubi hai kyon andhere mein chand nikla nahin dayar mein kya