dil ko ab hijr ke lamhat mein Dar lagta hai

dil ko ab hijr ke lamhat mein dar lagta hai
ghar akela ho to phir raat mein dar lagta hai

ek taswir se rahta hun mukhatab ghanton
jab bhi tanhai ke haalat mein dar lagta hai

meri aankhon se mere jhut ayan hote hain
is liye tujh se mulaqat mein dar lagta hai

lamha-e-qurb mein lagta hai bichhad jaenge
hath jab bhi ho tere hath mein dar lagta hai

aaj-kal main unhen jaldi hi badal deta hun
aaj-kal dil ke makanat mein dar lagta hai

jism ki aag ko barish se hawa milti hai
sath mein tu ho to barsat mein dar lagta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close