dhup baDhne ke jo aasar hue

dhup badhne ke jo aasar hue
kitne sae ke taraf-dar hue

tap ke kundan wo banenge kaise
jo jhulasne ko na tayyar hue

hai dawa ishq to bimari bhi
hum dawa ke liye bimar hue

jo na jismon ke talabgar hue
sirf wo wasl ke haqdar hue

qaid se un ko chhudae kaise
apne hathon jo giraftar hue

na hue gham-zada jo gham se mere
wo bade khush hai ki gham-khwar hue

baat karte hain jo aqdar ki wo
jab bhi mauqa mila bazar hue

aaine dhundte ho tum har su
aur hum chehre se bezar hue

tab talak the bade naqqad 'nawa'
jab talak khud se na do-chaar hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close