ek hi pal mein badalta hai nazara sara

ek hi pal mein badalta hai nazara sara
aur is pal ke liye baqi tamasha sara

zindagi ne na kisi imtihan ko dohraya
tajraba kaam hi aaya nahin apna sara

dhup mein jalna hai us ko jo shajar ban ke jiye
us ke sae mein rahe khush ye zamana sara

us ki rahmat ka khazana wo lutae aise
jis ne manga nahin jo us ne wo paya sara

bakhsh mujh ko na adhuri koi neamat maula
ya to dariya hi de pura ya to sahra sara

main ne bazar mein pura hi rakha tha khud ko
koi aisa na mila jis ne kharida sara

aks sabut to hai tute hue shishe mein magar
ek tukda bhi ganwaya to ganwaya sara

hota hai bhid ki fitrat se madari waqif
jab talak khatm na ho khel hai majma sara

itni wusat nahin daman mein 'nawa' ke yaron
pyar kaise wo samete kaho itna sara


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close