dhup chhanw zehnon ka aasra nahin rakhte hum gharaz ke bandon se wasta nahin rakhte zoam-e-parsai mein kab khayal hai un ko tanz to wo karte hain aaina nahin rakhte sazishen alamat to past himmati ki hain sazishen jo karte hain hausla nahin rakhte wo ghurur-e-taqwa mein bas yahi samajhte hain jaise hai khuda un ka hum khuda nahin rakhte tum hawas-paraston ke sainkadon khuda thahre ek hai khuda apna dusra nahin rakhte kis tarah munawwar ho khana-e-shuur 'anjum' zehn ke darichon ko tum khula nahin rakhte