hur-o-ghilman ke talabgar se waqif main hun sahab-e-jubba-o-dastar se waqif main hun shahr mein aap farishton se bhi badh kar thahre han magar aap ke kirdar se waqif main hun haq-nawai ka samajhta hun ise main inam qaid-o-zindan rasan-o-dar se waqif main hun wo hai majbur talab se bhi siwa dene par khubi-e-jurat-e-izhaar se waqif main hun munsifi chumti rahti hai dar-e-ahl-e-dil ai adalat tere kirdar se waqif main hun sar salamat hai to rauzan bhi bana lunga main habs tere dar-o-diwar se waqif main hun kibr-o-nakhwat ka hai ilzam abas 'anjum' par us ke ikhlas se afkar se waqif main hun