dhup ho gae sae jal gae shajar jaise jam gai hai dharti par ab ke dopahar jaise zist ke kharabe mein ek siyah ghar dil ka aur dil mein yaad us ki raushni ka dar jaise kaise kaise hangame ghere rakhte the din-raat lag gai nigahon ko apni hi nazar jaise ya to aane se pahle ghar ka puchhte ahwal aa gae to ab kije ho guzar-basar jaise aise takta rahta hun us gali ke logon ko lene aaega koi meri bhi khabar jaise muddaton main guzra tha us ke shahr se lekin sab makan lagte the mujh ko us ke ghar jaise naqsh-gah-e-hasti mein dekhi apni bhi taswir ek kaghaz-e-sada aansuon se tar jaise chahti hai ab wahshat dur tak bayabani katne ko aate hain ghar ke baam-o-dar jaise mujh se kya sahe jate un ki bazm ke aadab ashk mangte the wo ashk bhi guhar jaise main bhi kitna sada hun rahguzar pe baitha hun rok lega wo panw mujh ko dekh kar jaise meri khwahishen 'anjum' jaise nachti pariyan mera sara mustaqbil khwab ka nagar jaise