dhup hui to aanchal ban kar kone kone chhai amman sare ghar ka shor-sharaba suna-pan tanhai amman sare rishte jeth-dopahri garm hawa aatish angare jharna dariya jhil samundar bhini si purwai amman us ne khud ko kho kar mujh mein ek naya aakar liya hai dharti ambar aag hawa jal jaisi hi sachchai amman ghar mein jhine rishte main ne lakhon bar udhadte dekhe chupke chupke kar deti hai jaane kab turpai amman babu-ji guzre aapas mein sab chizen taqsim huin tab main ghar mein sab se chhota tha mere hisse aai amman