ho jaegi jab tum se shanasai zara aur badh jaegi shayad meri tanhai zara aur kyun khul gae logon pe meri zat ke asrar ai kash ki hoti meri gahrai zara aur phir hath pe zakhmon ke nishan gin na sakoge ye uljhi hui dor jo suljhai zara aur tardid to kar sakta tha phailegi magar baat is taur bhi hogi teri ruswai zara aur kyun tark-e-talluq bhi kiya laut bhi aaya? achchha tha ki hota jo wo harjai zara aur hai dip teri yaad ka raushan abhi dil mein ye khauf hai lekin jo hawa aai zara aur ladna wahin dushman se jahan gher sako tum jitoge tabhi hogi jo paspai zara aur badh jaenge kuchh aur lahu bechne wale ho jae agar shahr mein mahngai zara aur ek dubti dhadkan ki sada log na sun len kuchh der ko bajne do ye shahnai zara aur