dhup ka ehsas jaane kyun use hota nahin

dhup ka ehsas jaane kyun use hota nahin
waqt aawara hai thandi chhanw mein hota nahin

jhut ki diwar se latke hue jismon ke din
ho gae pure ki sach to shab mein bhi sota nahin

hum taka karte hain khidki se utarte chand ko
daud kar us ko pakad len ye kabhi hota nahin

dil ajab patthar hai pani se pighal jae kahin
aur kabhi jo aag mein rakh dijiye rota nahin

raushni phute qalam ke aankh se kyun kar 'matin'
aansuon ke bij dil mein jab koi bota nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close