dhup ka nam jo hai saya to saya hi sahi aap kahte hain agar aisa to aisa hi sahi hum bhi jine ka mohabbat mein tamasha kar len zindagi jo hai tamasha to tamasha hi sahi kyun na ye marte hue lamhe ghanimat jaanun lamhon ka aisa hi hai lasha to lasha hi sahi ghair hi qatl kare mujh ko zaruri to nahin mera qatil hai shanasa to shanasa hi sahi hum ne kab ishq ko samjha hai tijarat jaanan ishq tum se hai khasara to khasara hi sahi pyar to kar ke nibha lun main qasam se 'khanda' pyar gar wahm hai dhoka hai to dhoka hi sahi