dil ka aalam bhi hua hai aalam-e-hu ki tarah

dil ka aalam bhi hua hai aalam-e-hu ki tarah
aankh mein tu har ghadi rahta hai aansu ki tarah

dil ke mausam mein kabhi tabdiliyan aati nahin
lagti hai baad-e-saba bhi kankani lu ki tarah

ek tasawwur se tere mahka hai mera ang ang
tu mere ehsas mein basta hai khushbu ki tarah

sakht kali raat mein ummid ka nanha diya
hai farozan dil mein ek masum jugnu ki tarah

wasl ka aalam ki jaise hon shafaq ki laliyan
hijr ka mahaul hai qurbat ke jadu ki tarah

aa gai lafzon mein bhi lahje ki talkhi is qadar
aap bhi us ne kaha mujh ko magar tu ki tarah

dhup mein baithi thi apne bagh mein aur yun laga
tahniyan do shajar ki hain us ke bazu ki tarah

guftugu ka ek alag munfarid andaz hai
lafz us ke bolte hain jaise ghunghru ki tarah

us ko bhi har waqt rahta hai talaffuz ka khayal
ishq main ne bhi kiya hai us se urdu ki tarah

dekhte hi dekhte 'khanda' guzar jaegi umr
waqt hathon se nikal jaega jugnu ki tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close