dhup kyunkar na ho itab-zada

dhup kyunkar na ho itab-zada
saya saya hai aaftab-zada

nind aana wahan bura kyon hai
jagna bhi jahan ho khwab-zada

hai tabhi se hujum sahil par
jab se tufan hue habab-zada

bahr ki kaifiyat khuda ki panah
qatra qatra hai sail-e-ab-zada

le ke rone se muskurane tak
kya nahin aaj iztirab-zada

kaise aakhir shanakht karte hum
dost dushman the sab naqab-zada

be-maza imtihan-e-zist hua
har sawal aa gaya jawab-zada

khul ke milte 'nihaal' kya jis ki
be-hijabi bhi thi hijab-zada


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close