ai mere dost mere dushman-e-jaan KHair to hai

ai mere dost mere dushman-e-jaan khair to hai
tu mere pas mere sath yahan khair to hai

khat diya tha unhen patthar nahin aaya ab tak
dil ko tashwish hui hai ki wahan khair to hai

baat qasdan unhen aadhi si sunai main ne
ab wo puchhenge ki kab kaun kahan khair to hai

bach ke ek aur dhamake se kiya phone unhen
yan pe sab khair hai sab khair wahan khair to hai

khair hi khair lage mujh ko ba-zahir to magar
puchh leti hun murawwat mein ki han khair to hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close