dhup mein baithne ke din aae phir use sochne ke din aae band kamron mein jhankti kirnen khidkiyan kholne ke din aae dhan ki khetiyan sunahri hain ganw mein lautne ke din aae baad muddat wo shahr mein aaya aaina dekhne ke din aae phir koi yaad taza hone lagi raat bhar jagne ke din aae