dhup mein jal kar rah hua hun jab bhi ped se main tuta hun beganon ke desh mein koi apne jaisa dhund raha hun dariya hi mein ghar hai mera phir bhi dariya se darta hun apne zehn ki tahriron ko dimak ban kar chat raha hun mujh ko le kar pachhtaoge main to ek khota sikka hun