dil pe khanjar wo mar kar khush hain aur hum hain ki haar kar khush hain zindagi ne palat ke dekha hamein hum bhi us ko pukar kar khush hain dur jati hui tamanna ka aks dil mein utar kar khush hain pahli barish ke khushnuma baadal rang-e-gulshan nikhaar kar khush hain khushk patte hawa ke kandhon par chand lamhe guzar kar khush hain dil ke is dubte safine se bar-e-ulfat utar kar khush hain gham ne muddat se mar rakkha tha aaj hum gham ko mar kar khush hain