dhup mein nahae the raushni ke pahre the phir bhi un darakhton ke sae kitne gahre the dekhta raha mujh ko aaina bhi hairat se aaj mere chehre mein jazb kitne chehre the in dinon to khushiyon ke rang bhi hain afsurda un dinon udasi ke rang bhi sunahre the waqt-e-qatl chikha main koi kuchh nahin bola log meri basti ke gunge aur bahre the main wo ek shahzada jis ki ek haweli thi aur us haweli ke chaar samt pahre the waqt ne badan apna kar diya hai shal warna hum bhi teri umron mein shad the chharhare the ishq wo ladakpan ka kya hi lutf deta tha shab-baraat thin raaten aur din dashahre the aap jis ilaqe mein ek pal na rah pae hum usi ilaqe mein ek umr thahre the