ab is se badh ke kya nakaamiyan hongi muqaddar mein main jab pahuncha to koi bhi na tha maidan-e-mahshar mein ilahi nahr-e-rahmat bah rahi hai is mein dalwa de gunahgaron ke isyan bandh kar daman-e-mahshar mein khule gesu to didar-e-khuda bhi ho gaya mushkil qayamat ka andhera chha gaya maidan-e-mahshar mein sharik-e-kasrat-e-makhluq tu kyun ho gaya yarab teri wahdat ka parda kya hua maidan-e-mahshar mein qayamat to hamari thi hum aapas mein nibat lete koi puchhe khuda kyun aa gaya maidan-e-mahshar mein kisi ka aabla-pa qabr se ye puchhta uttha kahin thode bahut kante bhi hain maidan-e-mahshar mein ilahi dard ke qisse bahut hain waqt thoda hai shab-e-furqat ka daman bandh de daman-e-mahshar mein na uthte kushtagan-e-naz hargiz apni turbat se teri aawaz shamil ho gai thi sur-e-mahshar mein tah-e-madfan mujhe rahte zamana ho gaya 'muztar' kuchh aisi nind soya hun ki ab jagunga mahshar mein