dhup pichha nahin chhodegi ye socha bhi nahin hum wahan hain jahan diwar ka saya bhi nahin jaane kyun dil mera bechain raha karta hai milna to dur raha us ko to dekha bhi nahin aap ne jab se badal dala hai jine ka chalan ab mujhe talkhi-e-ahbab ka shikwa bhi nahin mai-kada chhode hue mujh ko zamana guzra aur saqi se mujhe dur ka rishta bhi nahin dam mein rakhta parindon ki udanen lekin par katarne ka magar us ko saliqa bhi nahin muskurahat mein koi tanz bhi ho sakta hai ye masarrat ki alam-dar ho aisa bhi nahin lakh yaadon ki taraf laut ke jaun 'shahin' parda-e-dil par ab us shakhs ka chehra bhi nahin