os ki tamanna mein jaise bagh jalta hai tu na ho to sine ka dagh dagh jalta hai chand chal diya chup-chap so gae sitare bhi raat ki syahi mein dil ka dagh jalta hai maut ek kahani hai zist jawedani hai ek charagh bujhta hai ek charagh jalta hai qatl-gah se le kar qatilon ke daman tak khun-e-nahaq-e-farhad ka suragh jalta hai sathiyon se duri mein ek jahan se duri hai mai mein dam nahin saqi aur ayagh jalta hai