dhup shajar ko git sunae aati hai titli sare rang churae aati hai un ashaar ka khush hona to lazim hai jin ashaar pe un ki rae aati hai thodi der mein train nikalne wali hai sun thodi hi der mein chae aati hai is lamhe par lag jate hain ghar ko bhi jab jab wo is samt sarae aati hai yani us ne than hi li hai jaane ki wo pura saman uthae aati hai khun bahati hai 'basit' kohsaron par sham andheri raat chhupae aati hai