ek taswir jo tashkil nahin ho pai canwas par kabhi takmil nahin ho pai ye jo ek bhid hai ye bhid ki badi muddat se meri tanhai mein tahlil nahin ho pai tirgi ne koi tawiz kiya hai shayad is liye raushni tarsil nahin ho pai main ne har lafz nibhaya tha badi shiddat se par meri shairi injil nahin ho pai sara saman tha maujud meri gathri mein han magar hath mein qindil nahin ho pai phir kisi raat wo kohsar pe baitha bola chandni-raat ki tamsil nahin ho pai kis tarah main unhen mahfuz rakhunga 'basit' khwahishon ki koi zambil nahin ho pai