dhup thi aur baadal chhaya tha der ke baad tujhe dekha tha main is jaanib tu us jaanib bich mein patthar ka dariya tha ek ped ke hath the khali ek tahni par diya jala tha dekh ke do jalte sayon ko main to achanak sahm gaya tha ek ke donon panw the ghaeb ek ka pura hath kata tha ek ke ulte pair the lekin wo tezi se bhag raha tha un se ulajh kar bhi kya leta tin the wo aur main tanha tha