har qadam kahta hai tu aaya hai jaane ke liye manzil-e-hasti nahin hai dil lagane ke liye kya mujhe khush aae ye hairat-sara-e-be-sabaat hosh udne ke liye hai jaan jaane ke liye dil ne dekha hai bisat-e-quwwat-e-idrak ko kya badhe is bazm mein aankhen uthane ke liye khub ummiden bandhin lekin huin hirman nasib badliyan utthin magar bijli girane ke liye sans ki tarkib par mitti ko pyar aa hi gaya khud hui qaid us ko sine se lagane ke liye jab kaha main ne bhula do ghair ko hans kar kaha yaad phir mujh ko dilana bhul jaane ke liye dida-bazi wo kahan aankhen raha karti hain band jaan hi baqi nahin ab dil lagane ke liye mujh ko khush aai hai masti shaikh ji ko farbahi main hun pine ke liye aur wo hain khane ke liye allah allah ke siwa aakhir raha kuchh bhi na yaad jo kiya tha yaad sab tha bhul jaane ke liye sur kahan ke saz kaisa kaisi bazm-e-samain josh-e-dil kafi hai 'akbar' tan udane ke liye