dhyan mein kaun darinda hai jo bedar hua main kisi bu ki jalan pa ke khabar-dar hua bagh ki samt se aati hai hawa sahmi hui kaun is habs ke mausam mein sadakar hua us jazire ki taraf soch-samajh kar jaana jo tere mauj mein aane se numudar hua tum ko lagta hai ki aasan hai duniya-dari kar-e-duniya mein pata hun to wafadar hua is badan par bhi mera kaam dikhai dega aur wo kaam ki jaise koi shahkar hua us ne har soch ki zambil ulat kar rakh di aur main khwab dikhane ka saza-war hua