rahiye ahbab se kat kar ki waba ke din hain sans bhi lijiye hat kar ki waba ke din hain wo jinhen khud se bhi milne ki nahin thi fursat rah gae khud mein simat kar ki waba ke din hain raunaq-e-bazm-e-jahan khud ko samajhne wale aa gae ghar ko palat kar ki waba ke din hain kya kisi aur se ab harf-e-tasalli kahiye roiye khud se lipat kar ki waba ke din hain ek jhatke mein hue shah-o-gada zer-o-zabar rah gai duniya ulat kar ki waba ke din hain sab ko malum hai tabir to yaksan hogi khwab hi dekh len hat kar ki waba ke din hain ek kamre mein simat aai hai sari duniya rah gae khanon mein bat kar ki waba ke din hain ye mera rang-e-taghazzul to nahin hai lekin ek ghazal likkhi hai hat kar ki waba ke din hain