di gawahi lahu ki dhaaron ne

di gawahi lahu ki dhaaron ne
panw chume hain kharzaron ne

sath chhoda na ghamgusaron ne
mar dala mujhe sahaaron ne

kis ne lute maze bahaaron ke
hum ko luta hai khud bahaaron ne

ghar sajae chaman ujad diya
gul khilae fareb-karon ne

ab kahen bhi to kya kisi se kahen
kat di raat gham ke maron ne

dil se parde uthae hain kya kya
aaj baithe hue mazaron ne

aakhirash nazr kar diya 'jarrar'
apni jaanon ko haq-guzaron ne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close