di hai agar hayat tamanna kiye baghair

di hai agar hayat tamanna kiye baghair
ab maut bhi ata ho taqaza kiye baghair

bazar-e-zindagi hai faqat ghumne ki ja
kuchh bhi yahan milega na sauda kiye baghair

main bhi ana-pasand hun lekin karun to kya
dil manta nahin use sajda kiye baghair

jalwa numud-e-jism hai aur jism hai hijab
parde mein koi rahta hai parda kiye baghair

mansub kis se hoti phir aakhir mata-e-dil
main tum ko chhod deta jo apna kiye baghair

ye kar-nama hai dil-e-khud-ehtisab ka
main pak-baz ho gaya tauba kiye baghair

fariyaad kis se kijiye us chaara-saz ki
jo chhod de mariz ko achchha kiye baghair

chup rah ke mutmain hain nahin jaante 'sarosh'
kuchh raaz fash hote hain charcha kiye baghair


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close