did-e-gulzar-e-jahan kyun na karen sair to hai ek din jaante hain khatma-bilkhair to hai 'rind' waiz se abas karte ho shar khair to hai donon ghar ek hain kaba na sahi dair to hai khosha-chin banta hai kyun mazra-e-har-dahqan ka wasf-e-insan nahin ye sifat-e-tair to hai na basar howegi be-nashsha qadah-khwaron ki ho agar mai ki munadi hai falak sair to hai aashna bahr-e-mohabbat ke shanawar hain sab tu bhi us aag ke dariya ko agar pair to hai rind-o-waiz ke bakhedon mein bhala kaun pade sab ko malum hai in donon mein ek bair to hai murgh-e-dil mardum-e-bimar pe sadqa kar dal waste sehhat-e-jaan ke amal-e-tair to hai jaise udti si suni hai khabar-e-qatl-e-safir puchhta phirta hun ek ek se kyun khair to hai saqiya chand ghade mai ke qadah-khwaron mein sarf lillah agar hon amal-e-khair to hai dar-guzar hota hai aur hoga ba-qadr-e-imkan aakhir-e-kar ye pa-posh-o-sar-e-ghair to hai kah liye 'rind' ne sab qafiye koi na chhuta angrezi magar ek qafiya-e-fair to hai