din hua jaise raushni hi nahin

din hua jaise raushni hi nahin
chand nikla to chandni hi nahin

beach jangal mein rah bholi thi
laut kar ghar kabhi gai hi nahin

haal aur mazi ek jaise hain
waqt se meri dosti hi nahin

meri aankhon ko le uda baadal
aisi barish hui thami hi nahin

be-sahaara thakan hai aur main hun
manzil-e-ishq tak chali hi nahin

kuchh sitaron ne khud-kushi kar li
kuchh sitaron mein sans thi hi nahin

ye 'sahar' aaine mein kaun hai ab
meri surat mujhe mili hi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close