did ke badle sada dida-e-tar rakkha hai hum ko kyun randa-e-dargah-e-nazar rakkha hai shab ki dahliz se us samt hain rahen kaisi parda-e-khwab mein ye kaisa safar rakkha hai saya-e-wasl-e-mohabbat ki wo khalwat na sahi ye bhi kafi hai khayalon mein guzar rakkha hai kitne ausaf mujhe apne ata us ne kiye zauq-e-takhliq diya mujh mein hunar rakkha hai shakh-dar-shakh teri yaad ki hariyali hai hum ne shadab bahut dil ka shajar rakkha hai har ghadi mujh pe nae aur jahan khulte hain so bhi jaun to khula zehn ka dar rakkha hai us ko qudrat hai jise jaisa bhi takhliq kare shukr hai us ka mujhe us ne bashar rakkha hai