har kisi aankh ka badla hua manzar hoga shahr-dar-shahr masihaon ka lashkar hoga aaina-ru hai agar dil to hifazat kije kis ko malum hai kis hath mein patthar hoga le ke paigham-e-khizan aaya hai mere dar pe wo jo kahta tha ki aangan mein sanobar hoga phir siyasat ki mahak aane lagi hai mujh ko jaane ab kaun mere shahr mein be-ghar hoga chhu ke dekho to sahi us mein nami baqi hai ye jo sahra hai kisi waqt samundar hoga