did ke imkan husn-e-irtiqa pane lage

did ke imkan husn-e-irtiqa pane lage
wo nazar ki had se bahar bhi nazar aane lage

dekh kar zarron ko tare raqs farmane lage
aasman wale zamin walon ka gun gane lage

hai isi ka nam dil ka soz meraj-e-hayat
aadmi ko jab khushi mein gham nazar aane lage

soch kar anjam-e-gul ghunchon ki aankhen khul gain
dekh kar shabnam ke aainon ko tharrane lage

fitratan ab jag uthi hai manzil-e-zehn-o-shuur
karwan bhatke hue khud rah par aane lage

gulsitan ne pa liya raaz-e-jamal-e-jawedan
lakh aae ab khizan kyon phul murjhane lage

kis qadar khatre mein hain hosh-o-khirad ki ismaten
ab to diwane bhi farzanon ko samjhane lage

main to kuchh samjha nahin ye istiara ai 'shifa'
mere aate hi wo uth kar bazm se jaane lage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close