hamare zauq par ye waqt agar aaya to kya hoga nazar mein jazb ho kar wo nazar aaya to kya hoga gham-e-hasti ka tara auj par aaya to kya hoga hansi mein bhi koi aansu ubhar aaya to kya hoga udhar tare idhar kaliyan hain masruf-e-giran-khwabi agar aise mein paigham-e-sahar aaya to kya hoga ye khali jam rakkhenge bharam kab tak tera saqi jo maikhane mein koi dida-war aaya to kya hoga tumhaara gham gham-e-alam ki surkhi ban to sakta hai koi dhabba agar tarikh par aaya to kya hoga chale to hain talash-e-astan mein ai 'shifa' hum bhi magar apna hi pahle sang-e-dar aaya to kya hoga