dida-e-be-rang mein KHun-rang manzar rakh diye

dida-e-be-rang mein khun-rang manzar rakh diye
hum ne is dasht-e-tapan mein bhi samundar rakh diye

wo jagah jo lal-o-gauhar ke liye maqsud thi
kis ne ye sang-e-malamat us jagah par rakh diye

ab kisi ki chikh kya ubhre ki mir-e-shahr ne
sakinan-e-shahr ke sinon pe patthar rakh diye

shakh-saron par na jab izn-e-nasheman mil saka
hum ne apne aashiyan dosh-e-hawa par rakh diye

ahl-e-zar ne dekh kar kam-zarfi-e-ahl-e-qalam
hirs-e-zar ke har taraazu mein sukhan-war rakh diye

hum to abresham ki surat narm-o-nazuk the magar
talkhi-e-haalat ne lahje mein khanjar rakh diye

jis hawa ko wo samajhte the ki chal sakti nahin
us hawa ne kat kar lashkar ke lashkar rakh diye

'bakhsh' sayyaad-e-azal ne hukm-e-azadi ke sath
aur asiri ke bhi khadshe dal ke andar rakh diye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close