ab aksar chup chup se rahen hain yunhi kabhu lab kholen hain pahle 'firaq' ko dekha hota ab to bahut kam bolen hain din mein hum ko dekhne walo apne apne hain auqat jao na tum in khushk aankhon par hum raaton ko ro len hain fitrat meri ishq-o-mohabbat qismat meri tanhai kahne ki naubat hi na aai hum bhi kisu ke ho len hain khunuk siyah mahke hue sae phail jaen hain jal-thal par kin jatanon se meri ghazlen raat ka juda kholen hain bagh mein wo khwab-awar aalam mauj-e-saba ke ishaaron par dali dali nauras patte sahj sahj jab dolen hain uf wo labon par mauj-e-tabassum jaise karwaten len kaunde hae wo aalam-e-jumbish-e-mizhgan jab fitne par taulen hain naqsh-o-nigar-e-ghazal mein jo tum ye shadabi pao ho hum ashkon mein kaenat ke nok-e-qalam ko dubo len hain in raaton ko harim-e-naz ka ek aalam hue hai nadim khalwat mein wo narm ungliyan band-e-qaba jab kholen hain gham ka fasana sunne walo aakhir-e-shab aaram karo kal ye kahani phir chhedenge hum bhi zara ab so len hain hum log ab to ajnabi se hain kuchh to batao haal-e-'firaq' ab to tumhin ko pyar karen hain ab to tumhin se bolen hain