dida-e-shauq ashk jari kar khushk hasrat ki aabiyari kar lamha-e-fikr ho ayan na kahin fasl-e-ummid parda-dari kar ek din apni dastaras mein ho ek din zindagi hamari kar ek bharpur sans khinch sakun aur phir us mein ustuwari kar zindagi ke usul apni jagah baat kar aur karobari kar meri fard-e-amal chhupa ke rakh aur tazir mujh pe jari kar ek darwesh ne kaha 'iqrar' fan ke ashhab pe ja sawari kar