dil mere aaj phir kushada hai zakhm khane ka phir irada hai ruh jaisi azim shai ke liye jism jaisa koi labaada hai wo to kal hi bichhad gaya mujh se aaj phir dard kyon ziyaada hai kis safar par hai gamzan khilqat jis ki manzil na koi jada hai 'mir'-o-'ghaalib' mera taaruf hain hae kya mera khanwada hai ab bhi us par yaqin hai tera tu bhi 'iqrar' kitna sada hai