dida-o-dil ki faza par gham ke baadal chha gae

dida-o-dil ki faza par gham ke baadal chha gae
us ke jate hi nigahon ke ufuq sanwla gae

dil to patthar ban gaya tha mom kis ne kar diya
muddaton baad aaj kyun aankhon mein aansu aa gae

thi sukut-e-dil se pahle bazm-e-hasti par kharosh
phir wo sannata hua tari ki hum ghabra gae

be-hisi ka sard mausam zindagi par chha gaya
dil mein raushan the jo angare wo sab kajla gae

ru-ba-ru ek ajnabi chehra sawali ki tarah
aaina dekha to ai 'makhmur' hum ghabra gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close