ho nazar aisi ki bas dil ki nigah tak pahunche dil mein utre to kabhi haal-e-tabah tak pahunche manzilen un ko mila karti hain aasani se tirgi chhod ke jo mishal-e-rah tak pahunche ab talak jaisi bhi guzri hamein manzur magar ab to ban jae kuchh aisi ki nibah tak pahunche jitna ishq ki bazi koi aasan nahin ain mumkin hai koi husn gawah tak pahunche tishnagi ko meri eajaz ata kar aisa zer-e-lab pyas badhe aisi ki aah tak pahunche ishq-maslak mein 'sadaf' ek hi dastur hai bas zakhm-e-dil had se badhe aur karah tak pahunche