didani hai zakhm-e-dil aur aap se parda bhi kya ek zara nazdik aa kar dekhiye aisa bhi kya hum bhi na-waqif nahin aadab-e-mahfil se magar chikh uthen khamoshiyan tak aisa sannata bhi kya khud hamin jab dast-e-qatil ko dua dete rahe phir koi apni sitamgari pe sharmata bhi kya jitne aaine the sab tute hue the samne shishagar baaton se apni hum ko bahlata bhi kya hum ne sari zindagi ek aarzu mein kat di farz kije kuchh nahin khoya magar paya bhi kya be-mahaba tujh se aksar samna hota raha zindagi tu ne mujhe dekha na ho aisa bhi kya be-talab ek justuju si be-sabab ek intizar umr-e-be-payan ka itna mukhtasar qissa bhi kya ghair se bhi jab mila 'akhtar' to hans kar hi mila aadmi achchha ho lekin is qadar achchha bhi kya