dard ki nili ragen tah se ubhar aati hain yaad ke zakhm mein chingariyan dar aati hain roz parchhaiyan yaadon ki parinde ban kar ghar ke pichhwade ke pipal pe utar aati hain suraten banti hain chahat ki ye kis mitti se barha mit ke bhi ye bar-e-digar aati hain ude ude se safure ki ghani tahniyon se yaad ki surmai kirnen si guzar aati hain roz khidki se qarib aam ke us ped ke pas tutiyan chonch mein le le ke sahar aati hain ek wirasat ki tarah ganw ki gud si baaten gathdiyan bandh ke is dil ke nagar aati hain jitna bhi chahun dar-e-yar se bach kar niklun tohmaten itni ziyaada mere sar aati hain itni si baat pe achchhi nahin shorida-sari sham ko chidiyan to sab apne hi ghar aati hain sharm se uljhe dupatte ki jo kholun girhen dil ki 'nainan' ragen sab khulti nazar aati hain