didani hain dil-e-kharab ke rang aah us chashm-e-pur-hijab ke rang fasl-e-gul mein paden to khub khilen khirqa-e-zohad par sharab ke rang shauq-e-mai dil mein lab pe hijw-e-sharab hum pe raushan hain sab janab ke rang nahin tauba ki khair hain jo yahi josh-e-hangama-e-sahab ke rang kal ke maqbul aaj hain mardud aah is daur-e-inqilab ke rang qabil-e-did hain visal ki shab aarzu-ha-e-kaamyab ke rang chehra-e-ashiqi hai pazh-murda kya hue wo mai-e-shabab ke rang khail-e-khuban se ek mein bhi nahin aap ke husn-e-la-jawab ke rang meri mayusiyon se hain paida kashmakash-ha-e-iztirab ke rang dil ke hathon bahut rahe hain kharab 'hasrat'-e-khanuman kharab ke rang