dil ko khayal-e-yar ne makhmur kar diya saghar ko rang-e-baada ne pur-nur kar diya manus ho chala tha tasalli se haal-e-dil phir tu ne yaad aa ke ba-dastur kar diya gustakh-dastiyon ka na tha mujh mein hausla lekin hujum-e-shauq ne majbur kar diya kuchh aisi ho gai hai tere gham mein mubtila goya kisi ne jaan ko mashur kar diya betabiyon se chhup na saka majra-e-dil aakhir huzur-e-yar bhi mazkur kar diya ahl-e-nazar ko bhi nazar aaya na ru-e-yar yan tak hijab-e-nur ne mastur kar diya 'hasrat' bahut hai martaba-e-ashiqi buland tujh ko to muft logon ne mashhur kar diya